Mohabbat-ik-tarfa

Mohabbat-ik-tarfa hai khuda ka wo dastoor,
Na mera isme kasoor jo chadha uska fitoor.
Akele hi raaste napwaata hai ye kambakht,
Uske sapne saja chaen churata be waqt.
Mohabbat me uske ab ye tanhai bhi manzoor,
Na mera isme kasoor, rahta bas uska hi suroor.

Mohabbat-ik-tarfa Ko maanlia apna hamsafar,
Aarzoo me teri, palko se aansu shuru krte apna Safar.
Fir na Ruk paate aur bahte rahte din raat,
Bahte bahte sookh jaate yaad krke tumhari har baat.
Mohabbat meri fir bhi na hui kam magar,
Aarzoo me teri, naapi teri galiyan tera nagar.

Mohabbat-ik-tarfa ban gayi meri zindagãni,
Khud se hi krne laga tere liye beimaani.
Khubsurati kya hai, dekh tujhe maine pahchãna,
Khudkhushi kya hai, mohabbat me teri ye jãna.
Mohabbat meri aisi ki na chali meri manmaani,
Khud se hi chhin gayi har naadani jaani anjaani.

Mohabbat-ik-tarfa hai mera ek junoon,
Kabhi mere Dil ka chaen, kabhi meri rooh ka Sukoon.
Hai yakeen bhi mujhe, wo smjhegi is pyaar Ko kabhi,
Aur ayegi banke bahar, mitãne mere aansu aur gum sabhi.
Mohabbat meri hai uski ibaadat na koi fariyaad,
Kabhi mere jeevan ki buniyaad, kabhi mere saanson ki muraad.

11 thoughts on “Mohabbat-ik-tarfa

Leave a reply to Abhinav Cancel reply