Intzaar ki hai ye kaisi gustakh ghadi,
Jo lamhe ki har tik-tik sunai deti hai.
Ruka hai pal ya ruka hu mai kahi,
Andhere me tu roshni si dikhai deti hai.
Intzaar ki hai ye kaisi gustakh ghadi,
Jo lamhe ki har tik-tik sunai deti hai.
Ruka hai pal ya ruka hu mai kahi,
Andhere me tu roshni si dikhai deti hai.
When your life starts seeming like a race,
And valors of past start mocking in your face.
Just remember a very simple funda,
Your Friends won’t let you be a broken anda!
And some more… π
The best way to irritate your sister and still ensure that she doesn’t get angry is to use her eye liner for this………
Please do let me know if you like this work π
Well here are few of the glass paintings that I made some time back. Probably a long time back πππ
It was unfortunate though π, coz one of them got shattered into pieces. And another one got newspaper stuck to it ! ππππ
Well anyway, I am sharing them here. I wonder if they are good enough π Please do share your feedback! ππ
Aake milte hain indradhanush jaha,
Basaya hai maine apna ghar waha.
Khwahishon ki kashti hai mera vaahan,
Anginat armaano jitne hai waha saadhan.
Insaan bhi insaaniyat jaanta hai jaha,
Mukhaute bina rishte nibhata hai waha.
Na jhooth hai na hai fareb ka koi nishaan,
Khushi Khushi rahta waha har Insaan.
Na darti hai pariyan failane se pankh jaha,
Andhere me bhi basta raam rajye waha.
Phoolun Ko kuchalne wale na koi kadam,
Chida aur chidhiya dono hi hai Param.
Khwahishein Banti nahi zanjeerein jaha,
Rhoodiwadi soch nahi jakadti saansein waha.
Buland honsle bharte hain waha Udaan,
Kone kone me basti hai khushiyon ki dukaan.
Na koi bechara hai, na koi asahaaye jaha,
Na Darr failane wali chalti hai aandhi waha.
Jaha mamta ki kirne aur hai pyaar Bhari baarish,
Banaate indradhanush kare poori har guzaarish.
Hey people!!!
I am back again with some more sketches and tattoos!! πππΌ
As always my favourite Animes feature in my tattoos and sketches.. ππ
I felt very bad recently when Dragon Ball Super got over.. It was like a heart break for me.. and then I went down the memory lane, remembering Naruto too! ππ
So here you go!!ππ
Hope you like these πΌπ
Kurama (Ninetails) πΌ
Vegeta!! (Coz i am Vegeta-rianπ)
Husband-wife ( Hinata and Naruto β€οΈ)
Friends for ever (Obito – Kakashi)
Ye rishta kya kehlata hai (Naruto – Sasuke)
Goku and Vegeta!β€οΈβ€οΈ
Ye reshmi dhaage hain jhooth se bune huye,
Bandhe inse yun hi khiche chale jaate hain.
Dhaagon ki pakad jab ho itni mazboot,
Tab aksar ye saansein jakad lejaate hain.
Sachh kya hai aur kya hai jhooth,
In dhaagon ka na koi rang na koi roop.
Ye Ishq, ye Jahaan,
Ye raaste, ye maqaam.
Ye lamha, ye baatein,
Ye toote Dil ki saugatein.
Jhoothi buniyaad ki karte hain daastaan baya,
Reshmi dhaage bhi chubh lahu bahate hai yaha.
Hello people !! This piece has been written in Collab with Bhavna.. Hope you like this little collaboration of ours ππ€π€
Cheers!π€
Guzre huye waqt ki aisi hai taaleem,
Heer ko na Ranjha mila, na Anarkali ko Saleem.
Ishq-e-junoon ki nasihat bane Bajirao aur Mastaani,
Noor-e-Jahan me samaa gaye wo karke manmaani.
Gustaakhi thi lafzon ki aisi kala haseen,
Kabhi tez-talwaar fariyaad to kabhi ibaadat rangeen.
Sisakte palon ki guftgu ke shaamiyaane the azeez,
Sachhe pyaar ki khoj me shahid huye kitne nacheez.
Taameel-e-ishq hai nahi aasaan,
Sabki kismat sajaati nahi muskaan.
Haal-e-dil ki mehar hai jo koi gam raas na aaye,
Mohabbat hai pakizah wo jo chhidak paani aag lagaye.
PS:
Fariyaad- complaints
Ibaadat – prayers
Mehar- kindness
Pakizah – pure
Taameel – compliance
Taaleem – education